Meri shadi ki kahani

Aap sab ne meri kahaniyan parhte hon ge. Mera naam shakeel hai aur mein gujrat pakistan mein rehta hoon. Mera kad 6″1′ hai aur meri built strong hai. Isi wajah se mujhe shayari aur poetry ka bhi shok tha aur mujh pe bohat si larkiyan marti bhi hain. Mujhe bachpan se hi urdu poetry karne ka shok tha. Mein jab bhi urdu shayari aur urdu poetry parhta tha tou mujhe bohat acha lagta tha.. Mein chahta tha ke mujhe jo bhi biwi miley woh bhi shayari aur poetry mein interested ho aur mere sath shayari likha kare. Mujhe shayari karne ka shauq mere abu se mila. mein har wakt shayari ki books parhta rehta tha. Tab mere abu ko ehsaas howa ke yeh urdu poet hai tou is ki shadi bhi kisi aesi larki se honi chaiye jo urdu shayari mein interested ho. Mere favorite poet wasi shah hain. Mein bachpan se hi wasi shah ko bohat like karta tahoon aur un ki poetry bohat shauk se parhta hoon. Aik dafah mere abu ne mujhe bataya ke unhon ne mere liye aik larki dekhi hai aur us larki ko bhi wasi shah ki poetry bohat pasand hai..Mujhe yeh sun kar bohat khushi huyi ke shukar hai larkiyan bhi wasi shah jese poet ko pasand karti hain aur mujhe ab aesi larki mil jaye gi jo shayari mein meri madad karegi. Hum agle hi din us larki ke ghar gaye aur mujhe woh larki bohat achi lagi. Us ne mujhe apni library collection dikhayi jis mein bohat si urdu poetry ki books bhi theen. Akhir hamari shadi ho gayi aur hum khushi khushi rehne lage.

Newer Post

Leave a Reply